Ghar Banane Mein Tamam Ahl-e-safar Lag Gae Hain
ghar banane mein tamam ahl-e-safar lag gae hain
kya tamashe ye sar-e-rahguzar lag gae hain
toD kar band-e-qaba jism uDa jata hai
kaise is KHak ki diwar ko par lag gae hain
sirf ek tujh se bichhaDne ka nahin KHauf hamein
sath mein ab ke kai aur bhi Dar lag gae hain
sabza-e-mutazir is darja numu ko pahuncha
dekh hum dar pe tere misl-e-shajar lag gae hain
jashn-e-girya to kiya tha meri aankhon ne shurua
sath ab shahr ke sab dida-e-tar lag gae hain
kaisi afwah uDi tujh se mere rishte ki
sab tere chahne wale mere ghar lag gae hain
husn to hai hi nai tarah se aatish-angez
aaine ko bhi nae barq-o-sharar lag gae hain
karKHana hai usi husn ka aalam sara
bas jidhar us ne lagaya hai udhar lag gae hain
jis ki padash mein hai dar-ba-dari ka ye itab
phir usi kaam pe hum shahr-badar lag gae hain
'farhat-ehsas' main kya dekha jo us ke pichhe
aankhen dikhlate hue ahl-e-nazar lag gae hain
(821) Peoples Rate This