Dil Ne Imdad Kabhi Hasb-e-zarurat Nahin Di
dil ne imdad kabhi hasb-e-zarurat nahin di
shahr mein aql na di dasht mein wahshat nahin di
ishq tu aaj bhi hai kis ke lahu se sarsabz
kis muhim ke liye hum ne tujhe ujrat nahin di
dhup boli ki main aabai watan hun tera
main ne phir saya-e-diwar ko zahmat nahin di
ishq mein ek baDa zulm hai sabit-qadami
waqt ne bhi hamein is bab mein qudrat nahin di
sar salamat liye lauT aae gali se us ki
yar ne hum ko koi Dhang ki KHidmat nahin di
kaun si aisi KHushi hai jo mili ho ek bar
aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di
ahl-e-dil ne kabhi maKHlut hukumat na banai
aql walon ne bhi be-shart himayat nahin di
'farhat-ehsas' to hum KHud hi bane hain warna
farhat-ullah ne kabhi is ki ijazat nahin di
(1007) Peoples Rate This