Dekhte Hi Dekhte Khone Se Pahle Dekhte
dekhte hi dekhte khone se pahle dekhte
raushni ko raushni hone se pahle dekhte
is tarah zaea hui hotin na aankhen nind mein
hum ye sare KHwab agar sone se pahle dekhte
shahr ka aaina-KHana hai sar-e-sailab-e-aks
apna chehra bhiD mein khone se pahle dekhte
baad ka sara safar qabu mein rahta aap ke
KHak ko gar be-karan hone se pahle dekhte
ab to jo kuchh hai sahafat hi sahafat hai yahan
jo bhi hona tha use hone se pahle dekhte
bij kis surat mein bahar aaega kis ko KHabar
fasl kya hogi use bone se pahle dekhte
dekhte baadal se barish tak safar taklif ka
tum meri aankhen agar rone se pahle dekhte
dekhne mein der kar di aap ne 'ehsas' ko
ho chuka bas wo use hone se pahle dekhte
(909) Peoples Rate This