Charagh-e-shahr Se Sham-e-dil-e-sahra Jalana
charagh-e-shahr se sham-e-dil-e-sahra jalana
aur us ki lau se mahfil-e-KHana-e-duniya jalana
tamashe kya dikhata hai mera barud-e-hasti
tumhein mujh ko jalana hai to phir zinda jalana
baDe suraj bane phirte ho tum ek raat aa kar
zara mera charagh-e-mausam-e-sarma jalana
use mujh se bas itna hi talluq hai ki har raat
charagh-e-jism apna pesh-e-aina jalana
chalo aankhon pe aankhen rakh ke hum ek sath rolen
ye zid chhoDo bahut ab ho gaya jalna jalana
jo har bar apni KHakistar se uTh paDta hai zinda
to hum ne 'farhat-ehsas' ab tujhe chhoDa jalana
(1373) Peoples Rate This