Bujh Gae Sare Charagh-e-jism-o-jaan Tab Dil Jala
bujh gae sare charagh-e-jism-o-jaan tab dil jala
KHalq ki KHatir hamara murshid-e-kaamil jala
kuchh bhi dariya ne madad apne paDosi ki na ki
dur tak pani hi pani tha magar sahil jala
raushni mein ek alag si raushni shamil hui
aaj lagta hai ki phir koi sar-e-mahfil jala
dekhte hi aag patthar ho gaya kaghaz ka jism
wo jise aasan jalna tha bahut mushkil jala
ab ruKH-e-laila nahin hoga kabhi parda-nashin
shahr ke aatish-kade mein parda-e-mahmil jala
shahr mein bhaDki hui thi wasl ki aag aur idhar
farhat-ehsas aap apne hijr mein til til jala
(1021) Peoples Rate This