Be-rang BaDe Shahr Ki Hasti Bhi Wahin Thi
be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi
ek rang uDati hui titli bhi wahin thi
bazar ke jadu ki na thi kaT mere pas
jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi
bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein
bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi
is baDh mein karta tha jahan bhi main kinara
andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi
sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main
har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi
ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha
miTTi meri aaKHir ko bikharni bhi wahin thi
afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki
ye qabr jahan thi meri miTTi bhi wahin thi
(835) Peoples Rate This