Ba-rang-e-sabza Unhi Sahilon Pe Jam Jaen
ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen
rawan hue the jahan se wahin pe tham jaen
hum us ke pas se aaen wajud se bhar kar
pa shart hai ki wahan surat-e-adam jaen
wo be-panah KHamoshi talab kare ek bar
to bar bar naya lafz ban ke hum jaen
moamla to ye fauri amal ka hai phir bhi
meri sunen to abhi thoDi der tham jaen
faraKH dil hai bahut wo magar miyan-'ehsas'
ziyaada milta hai utna hi jitna kam jaen
(735) Peoples Rate This