Bahut Si Aanhken Lagin Hain Aur Ek KHwab Tayyar Ho Raha Hai
bahut si aankhen lagin hain aur ek KHwab tayyar ho raha hai
haqiqaton se muqable ka nisab tayyar ho raha hai
tamam duniya ke zaKHm apne bayan qalam-band kar rahe hain
meri sawaneh-hayat ka ek bab tayyar ho raha hai
bahut se chand aur bahut se phul ek tajrabe mein lage hain kab se
suna hai tum ne kahin tumhaara jawab tayyar ho raha hai
chaman ke phulon mein KHun dene ki ek tahrik chal rahi hai
aur is lahu se KHizan ki KHatir KHizab tayyar ho raha hai
purani basti ki khiDkiyon se main dekhta hun to sochta hun
naya jo wo shahr hai bahut hi KHarab tayyar ho raha hai
khule hue hain fana ke daftar mein sab anasir ke goshware
ki aasmanon mein ab zamin ka hisab tayyar ho raha hai
main jab kabhi us se puchhta hun ki yar marham kahan hai mera
to waqt kahta hai muskura kar janab tayyar ho raha hai
badan ko jaana hai pahli bar aaj ruh ki mahfil-e-tarab mein
to aisa lagta hai jaise koi nawab tayyar ho raha hai
is imtihan ke sawal aate nahin nisabon se maktabon ke
ajib aashiq hai ye jo paDh kar kitab tayyar ho raha hai
junun ne barpa kiya hai sahra mein shahr ki taziyat ka jalsa
to 'farhat-ehsas' bhi ba-chashm-e-pur-ab tayyar ho raha hai
(1291) Peoples Rate This