Badan Aur Ruh Mein JhagDa PaDa Hai
badan aur ruh mein jhagDa paDa hai
ki hissa ishq mein kis ka baDa hai
hujum-e-girya se hun dar-ba-dar main
ki ghar mein sar talak pani khaDa hai
bulati hai mujhe diwar-e-duniya
jahan har jism inTon sa jaDa hai
jhinjhoDa hai abhi kis zalzale ne
zamin se zindagi sa kya jhaDa hai
faqat aankhen hi aankhen rah gai hain
ki sara shahr miTTi mein gaDa hai
tumhaara aks hai ya aks-e-duniya
tazabzub sa kuchh aankhon mein paDa hai
main dariya jaan bachata phir raha hun
koi sahil mere pichhe paDa hai
zara si sharm bhi kar farhat-'ehsas'
badan tera ajab chikna ghaDa hai
(1026) Peoples Rate This