Asir-e-KHak Bhi Hun KHak Se Riha Bhi Hun Main
asir-e-KHak bhi hun KHak se riha bhi hun main
main ji raha hun to dekho mara paDa bhi hun main
main ek lamha-e-hazir bila-siyaq-o-sabaq
aur apne lamha-e-hazir ka hafiza bhi hun main
main ek fard-e-saf-ara maashre ke KHilaf
aur ek fard mein pura muashra bhi hun main
nikal bhi aaya hun us kucha-e-taghaful se
aur us ke dar pe bahut sa paDa hua bhi hun main
main apni KHak mein lat-path paDa hua hun abhi
magar na bhul ki parwarda-e-hawa bhi hun main
kisi bhi lafz ke jaisa nahin hai lafz mera
idhar-udhar se bahut sa kaha-suna bhi hun main
agarche Thik se banda bhi main nahin 'ehsas'
magar kabhi kabhi ek lamha-e-KHuda bhi hun main
(794) Peoples Rate This