Shahr-dar-shahr Dida-war BhaTke
shahr-dar-shahr dida-war bhaTke
zoam-e-baatil mein tajwar bhaTke
KHud-sari mein jo mo'atabar bhaTke
ham-safar un ke be-KHabar bhaTke
fan ki pagDanDiyon pe chalte hue
kabhi bhaTke to be-hunar bhaTke
hum jo bhaTke to na-shanasa the
rahbar kyun idhar udhar bhaTke
ek aalam ko jis ne bhaTkaya
kabhi yun ho ki wo nazar bhaTke
apni manzil ka ilm hote hue
phir bhi hum jaan-bujh kar bhaTke
zindagi ke libas-e-KHasta mein
dhup mein hum barahna-sar bhaTke
kis mein himmat thi hum ko bhaTkata
apni KHwahish pe umr-bhar bhaTke
hae us gul-badan ki hasrat mein
yun bhaTakna na tha magar bhaTke
us ko bhi pa sake nahin 'farhat'
jis ki KHwahish mein dar-ba-dar bhaTke
(938) Peoples Rate This