Jalwa Hai Wo Ki Tab-e-nazar Tak Nahin Rahi
jalwa hai wo ki tab-e-nazar tak nahin rahi
dekha use to apni KHabar tak nahin rahi
ehsas par garan raha ehsas ka tilism
ye umr ki takan safar tak nahin rahi
jin par tumhaare aane se khilte rahe gulab
ab dil mein aisi rahguzar tak nahin rahi
ek din wo ghar se nikle nahin sair ke liye
ab KHwahish-e-numu mein sahar tak nahin rahi
jis ko chhua tha hum ne kaDi dhup jhel kar
wo chhanw bhi to zer-e-shajar tak nahin rahi
KHush hai wo aankh kar-e-masihai chhoD kar
tasir us ki zaKHm-e-jigar tak nahin rahi
tum kaise mausamon mein hamein milne aae ho
peDon pe ab to shaKH-e-samar tak nahin rahi
'farhat' main dastaken liye hathon mein rah gaya
meri rasai ab tere dar tak nahin rahi
(814) Peoples Rate This