Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Sham Ke Baad
tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad
kitne chup-chap se lagte hain shajar sham ke baad
itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm
chhoD jaenge kisi roz nagar sham ke baad
main ne aise hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chhoD de ghar sham ke baad
sham se pahle wo mast apni uDanon mein raha
jis ke hathon mein the TuTe hue par sham ke baad
raat biti to gine aable aur phir socha
kaun tha bais-e-aghaz-e-safar sham ke baad
tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke baad
lauT aae na kisi roz wo aawara-mizaj
khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke baad
(6918) Peoples Rate This