Kabhi Sahar To Kabhi Sham Le Gaya Mujhse
kabhi sahar to kabhi sham le gaya mujh se
tumhaara dard kai kaam le gaya mujh se
mujhe KHabar na hui aur zamana jate hue
nazar bacha ke tera nam le gaya mujh se
use ziyaada zarurat thi ghar basane ki
wo aa ke mere dar-o-baam le gaya mujh se
bhala kahan koi juz is ke milne wala tha
bas ek jurat-e-nakaam le gaya mujh se
bas ek lamhe ke sach jhuT ke ewaz 'farhat'
tamam umr ka ilzam le gaya mujh se
(1780) Peoples Rate This