Ye Kya Hua Ki Sabhi Ab To Dagh Jalne Lage
ye kya hua ki sabhi ab to dagh jalne lage
hawa chali to lahu mein charagh jalne lage
miTa gaya tha lahu ke sabhi nishan qatil
magar jo sham Dhali sab charagh jalne lage
ek aisi fasl utarne ko hai gulistan mein
zamana dekhe ki phulon se bagh jalne lage
nigah-e-tair-e-zindan uThi thi ghar ki taraf
ki soz-e-atash-e-giryan se dagh jalne lage
ab us maqam pe hai mausamon ka sard mizaj
ki dil sulagne lage aur dimagh jalne lage
ab aa bhi ja ki yun hi dur dur rahne se
ye mere honT wo tere ayagh jalne lage
naha ke nahr se 'salim' pari wo kya nikli
ki tab-e-husn se KHud astabagh jalne lage
(823) Peoples Rate This