Tu Meri Ibtida Tu Meri Intiha Main Samundar Hun Tu Sahilon Ki Hawa
tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa
teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa
roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par paTakta hun sar
hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa
meri shoridgi ke ye tufan sab meri KHamoshiyon ke ye arman sab
kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa
tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri
tu na ho gar to main KHud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa
KHushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par
tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa
(928) Peoples Rate This