Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8abbbbd52d92258b5f6479e26cd83f11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa - Farhan Salim Poetry In English - Darsaal

Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar

tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa

gah shorida-sar gah KHamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar

tere lal-o-gohar aur main KHak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main KHizan ki sada main ghubar-e-safar

tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa

wusat-e-be-karan maKHzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar

tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

(2377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa In English By Famous Poet Farhan Salim. Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa is written by Farhan Salim. Read famous Poem Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa for youth and Student by Farhan Salim. Free Download Main Tere Sang Kaise Chalun Ham-safar Tu Samundar Hai Main Sahilon Ki Hawa in PDF.