Kya Bataen Kya Kal Shab AaKHiri Pahar Dekha
kya bataen kya kal shab aaKHiri pahar dekha
kar-gah-e-gardun par chand ka safar dekha
jalwa-gah-e-hasti mein husn jalwa-gar dekha
hae ham-nafas mat puchh kab kahan kidhar dekha
aah wo shab-e-pur-nam uf wo nur ki mahfil
darmiyan sitaron ke jalwa-e-qamar dekha
us jamal-e-uryan ko sirf ek nazar dekha
phir wahi nazar aaya jab jahan jidhar dekha
hae ai mujassam husn rashk-e-nur-o-tabani
tu ne mere KHirman ko KHub phunk kar dekha
shab Dhali to ai 'salim' mah nasheb mein utra
ek chakor ko dekha aur ba-chashm-e-tar dekha
(845) Peoples Rate This