Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bee90c260e0ddf4a0847576f2b68ad74, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se - Farhan Salim Poetry In English - Darsaal

Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se

aks kuchh na badlega aainon ko dhone se

aazari nahin aati pattharon pe rone se

masala na suljhega pyas bujh na paegi

be-hisi ke saghar mein aap ko Dubone se

toD do haden sari ye bhi tajraba kar lo

zat aur simTegi be-hijab hone se

lab pe zom-e-mai-KHwari aur qadam bahakte hain

sirf kasa-e-mai mein ungliyan Dubone se

har sadaf ke sine mein gir raha hai ek moti

dard-o-gham ke maron ki kashtiyan Dubone se

zaKHm roz ek taza de diya karo warna

be-dili si rahti hai dard ke na hone se

har lahu fughan dega har diya dhuan dega

dagh miT nahin sakte damanon ko dhone se

kaun si wo aatish thi mere KHun mein 'salim'

hath jal gae us ke ungliyan Dubone se

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se In English By Famous Poet Farhan Salim. Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se is written by Farhan Salim. Read famous Poem Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se for youth and Student by Farhan Salim. Free Download Aks Kuchh Na Badlega Aainon Ko Dhone Se in PDF.