Sikandar Hun Talash-e-ab-e-haiwan Roz Karta Hun

sikandar hun talash-e-ab-e-haiwan roz karta hun

abhi naqsh-o-nigar-e-zindagi mein rang bharta hun

laga kar sab lahu aaKHir hue daKHil shahidon mein

main apni lash raste se haTane tak se Darta hun

parai aag gar hoti to kab ki jal bujhi hoti

main hanste khelte mauj-e-hawadis se guzarta hun

yaqinan maut ke har aks par wo KHak Dalega

dua se jis ki main ab tak na jita hun na marta hun

kabhi meri talab kachche ghaDe par par utarti hai

kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Darta hun

tumhaara izn ho hasil to dariya rasta denge

jahan firaun Duba tha wahin pe par utra hun

'farid' us ki talab mujh ko jhankti hai kuen aksar

wo chehra jis ki chahat mein main kya kya kar guzarta hun

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sikandar Hun Talash-e-ab-e-haiwan Roz Karta Hun In English By Famous Poet Fareed Parbati. Sikandar Hun Talash-e-ab-e-haiwan Roz Karta Hun is written by Fareed Parbati. Read famous Poem Sikandar Hun Talash-e-ab-e-haiwan Roz Karta Hun for youth and Student by Fareed Parbati. Free Download Sikandar Hun Talash-e-ab-e-haiwan Roz Karta Hun in PDF.