Ye Kahan Se Mauj-e-tarab UThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae

ye kahan se mauj-e-tarab uThi ki malal dil se nikal gae

wahi subh-o-sham jo the giran nafas-e-bahaar mein Dhal gae

ye dayar-e-shauq hai ham-nashin yahan laghzishon mein bhi husn hai

jo miTe wo aur ubhar gae jo gire wo aur sambhal gae

hamein zindagi ki talash thi hamein sarKHushi ki talash thi

hue zindagi se jo aashna to jarahaton se bahal gae

tere sogwaron ki zindagi kabhi mutmain na guzar saki

jo bujhi kabhi koi tishnagi kai aur dard machal gae

meri aarzuon ke KHwab the ki faza-e-husn-o-shabab the

kahin nikhaton mein bikhar gae kahin rang-o-nur mein Dhal gae

unhen rahaton ka KHayal hai na saubaton ka malal hai

jo teri talash mein chal paDe jo teri talab mein nikal gae

hai bhari bahaar to kya karun na mile qarar to kya karun

mere samne hain wo aashiyan jo bhari bahaar mein jal gae

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kahan Se Mauj-e-tarab UThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae In English By Famous Poet Fareed Javed. Ye Kahan Se Mauj-e-tarab UThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae is written by Fareed Javed. Read famous Poem Ye Kahan Se Mauj-e-tarab UThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae for youth and Student by Fareed Javed. Free Download Ye Kahan Se Mauj-e-tarab UThi Ki Malal Dil Se Nikal Gae in PDF.