Pahunch Ke Hum Sar-e-manzil Jinhen Bhula Na Sake
pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake
wo ham-safar the jo kuchh dur sath aa na sake
tamam umr pashemaniyon mein bit gai
ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naz uTha na sake
mujhe KHayal hai un dil-girafta kaliyon ka
jinhen nasim-e-sahar chheD de khila na sake
kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon mein
jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake
karam ki aas ke sayon mein bujh gaya wo charagh
hawa-e-yas ke jhonke jise bujha na sake
andheri shab thi sitaron se kya sukun milta
sitare bhi to bahut der jagmaga na sake
ghazal ke husn ka ehsas us ko kya 'jawed'
KHulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake
(846) Peoples Rate This