Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai
na ghurur hai KHirad ko na junun mein bankpan hai
ye mizaj-e-zindagi to baDa hausla-shikan hai
jahan mil saken na mil ke jahan fasle hon dil ke
use anjuman na samjho wo fareb-e-anjuman hai
ye hawa chali hai kaisi ki dilon ki dhaDkanon mein
na hadis-e-lala-o-gul na hikayat-e-chaman hai
nahin maslahat ki rahbar koi baat sach bata de
zara karwan se puchho jo shikast jo thakan hai
kai inqalab aae kai dip jhilmilae
jo bujhi nahin hai ab tak teri yaad ki kiran hai
main ghamon ki tirgi mein nahin is qadar bhi tanha
koi mujh se dur rah kar mere dil mein zau-fagan hai
nahin sab ke sath yaksan safar-e-hayat pyare
kahin rang-o-bu ke sae kahin dasht-e-pur-mehan hai
(812) Peoples Rate This