Yaqin
chap qadmon ki suno raat ke tare na gino
koi aaega ba-har-haal zarur aaega
apni aankhon mein chhupae hue sapne kal ke
le ke tabinda nigahon ka ghurur aaega
yas-o-hirman ke andheron mein sitare bhar do
dil ke KHwabida darichon se kaho aankh malen
baad-e-sarsar se kaho ja ke chale aur kahin
KHwab-e-farda ke dar-o-baam pe kuchh dip jalen
le ke aakash pe aati hai kise kahkashan
chand hai ya kisi kamsin ke KHad-o-KHal ka nur
ya khuli zulf ko bikhrae hue raat ke waqt
raqs-farma hai kisi jannat-e-shadab ki hur
oDh kar chadar-e-simab koi zohra-jamal
jagmagate hue taron se utarti hai zarur
ga ke dharti ki nigahon mein KHumarin naghme
de ke aawaz dabe panw guzarti hai zarur
chap qadmon ki suno raat ke tare na gino
koi aaega ba-har-haal zarur aaega
(747) Peoples Rate This