Sahar Hone Tak
ek bijli ke khambe tale
kitne zinda bache
aur kitne jale
kis ko malum ho
kaise malum ho
koi in ka sharik-e-shab-e-gham na tha
sham se ta-sahar
apne anjam se be-KHabar
aatish-e-soz-e-pinhan mein jalte rahe
raqs karte rahe
subh hone se pahle
siyah raat ke qafile
sard lashon ke ambar ko aa ke bikhra gae
shikasta paron ko hawaon ke jhonke na jaane kidhar ko uDa le gae
kis ko malum ho
kaise malum ho
aatish-e-soz-e-pinhan mein kitne jale
kitne zinda bache
(739) Peoples Rate This