Chhipkili
hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish
shama jalte hi dar-o-diwar par
le ke maTiyala sa kahida badan
jhumti sar-mast aa jati hai ye
pa-ba-jaulan chand parwanon ke pas
ghota-zan pate hi jin ko aab-shaar-e-nur mein
tez chamkili nukili aankh se
yun dekhti hai bar-bar
jaise ek sarmaya-dar
mal-o-zar ki oT se
karta hai muflis ka shikar
phir nikal jati hai ye
soz-o-gham ke shahkar
raushni ke tajdar
chand parwanon ki jaan-sozi se kya matlab ise
shama ki raushni KHayali is ke pichhe gard hai
hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish
(746) Peoples Rate This