Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage
shishe ke nazuk bartan mein
sabun ghol rahi hai nannhi guDiya
narkul ki nazuk phukni se
phunk rahi hai ghubbare
har ghubbara ek KHwab sa ban kar
tair raha hai kamre mein
kamre ki diwaron se
Takra Takra kar TuT raha hai
main KHamosh apne kamre mein
ye khel-tamasha dekh raha hun
us ke nazuk honTon ki
nazuk si shararat dekh raha hun
ye dekh raha hun hasti apni
do-chaar nafas ki hasti hai
main bhi ek shishe ki diwar hun
jis ke pichhe baiThe ab tak
nanhe-munne bachche khel rahe hain
kankar patthar phenk rahe hain
shishe ke nazuk bartan mein
sabun ghol rahi hai nannhi guDiya
narkul ki nazuk phukni se
phunk rahi hai ghubbare
har ghubbara ek KHwab sa ban kar
tair raha hai kamre mein
kamre ki diwaron se
Takra Takra kar TuT raha hai
(756) Peoples Rate This