Jala Ke Daman-e-hasti Ka Tar Tar UTha
jala ke daman-e-hasti ka tar tar uTha
kabhi jo nala-e-gham dil se shoala-bar uTha
KHyal-o-fikr-o-tamanna ka KHun chhup na saka
zaban KHamosh thi lekin lahu pukar uTha
falak pe jab bhi haqaeq ki surKHiyan ubhrin
zamin se kohna riwayat ka ghubar uTha
rawan-dawan hai rag-e-sang mein lahu ki tarah
wo zindagi ka talatum jo bar bar uTha
rah-e-hayat mein jab Dagmagae mere qadam
mera hi naqsh-e-kaf-e-pa mujhe pukar uTha
fareb-e-wada-e-farda ka zikr kya kije
wo mo'atabar hi the kab jin ka e'tibar uTha
'farid' ahl-e-gulistan bhi hosh kho baiThe
kuchh is ada se hijab-e-ruKH-e-bahaar uTha
(840) Peoples Rate This