Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c79870309b18f05e54e63f0769b8990, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi - Fareed Ishrati Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi

dil mein shagufta gul bhi hain raushan charagh bhi

kya chiz hain ye soz-e-mohabbat ke dagh bhi

TuTa tha ek jam-e-sifali na jaane kyun

rindon ne toD Dale munaqqash ayagh bhi

tadbir-e-chaara-sazi-e-dil sochne ke baad

rahta hai bad-guman mere dil se dimagh bhi

hum wo nahin jo maut ke pardon mein kho gae

hum ne to zindagi ka lagaya suragh bhi

hum ne to raaz-e-ishq chhupaya magar 'farid'

chaaragaron ne DhunDh liye dil ke dagh bhi

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi In English By Famous Poet Fareed Ishrati. Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi is written by Fareed Ishrati. Read famous Poem Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi for youth and Student by Fareed Ishrati. Free Download Dil Mein Shagufta Gul Bhi Hain Raushan Charagh Bhi in PDF.