Nikal Ke Ghar Se Aur Maidan Mein Aa Ke

nikal ke ghar se aur maidan mein aa ke

zara kuchh dekhiye tewar hawa ke

koi zinda raha hai kab jahan mein

charagh-e-dil ko apne KHud bujha ke

hamari KHamushi bhi ek nawa thi

mile kab sunne wale hain nawa ke

pashiman ek muddat tak raha hai

koi dar se mujhe apne uTha ke

ye dil hai dil ise sine mein hargiz

kabhi rakhna na tum patthar bana ke

'faraaz' aksar raha karta hai tanha

andhere mein charagh-e-dil jala ke

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikal Ke Ghar Se Aur Maidan Mein Aa Ke In English By Famous Poet Faraz Sultanpuri. Nikal Ke Ghar Se Aur Maidan Mein Aa Ke is written by Faraz Sultanpuri. Read famous Poem Nikal Ke Ghar Se Aur Maidan Mein Aa Ke for youth and Student by Faraz Sultanpuri. Free Download Nikal Ke Ghar Se Aur Maidan Mein Aa Ke in PDF.