BichhaDte Damanon Mein Apni Kuchh Parchhaiyan Rakh Do
bichhaDte damanon mein apni kuchh parchhaiyan rakh do
sukut-e-zindagi mein dil ki kuchh be-tabiyan rakh do
kahin aisa na ho main dur KHud apne se ho jaun
meri hasti ke hangamon mein kuchh tanhaiyan rakh do
mere afkar ho jaen na farsuda zamane mein
nigahon se tum apne in mein kuchh gahraiyan rakh do
mera har iztirab-e-dil nishan manzil ka ban jae
tamannaon mein meri husn ki angDaiyan rakh do
rahe baqi na phir sud o ziyan ka masala koi
mere KHirman mein apne hath se chingariyan rakh do
kisi ko baKHsh do izzat kisi ko sim-o-zar de do
mere hisse mein rah-e-ishq ki ruswaiyan rakh do
kisi bhi ghair ki jaanib nazar uTThe 'faraaz' ab kyun
nigahon mein tum us ki apni sab ranaiyan rakh do
(766) Peoples Rate This