To Mujhe Ek Jhalak Bhi Nahin Dikhlani Kya

to mujhe ek jhalak bhi nahin dikhlani kya

sirf musa pe inayat thi ye farmani kya

main kisi shaKHs ke marne pe bhi ghamgin nahin

KHak agar KHak mein milti hai to hairani kya

KHat mein likhte ho bahut dukh hai tumhein hijrat ka

yar jab ja hi chuke ho to pashemani kya

meri aankhon mein zara ghaur se dekh aur bata

in se baDh kar hai bhala dasht ki virani kya

na gham-e-yar hai mujh ko na gham-e-dauran hai

aaKHir ab zist mein bhi is qadar aasani kya

meri miTTi mein alag shai hai koi kuza-gar

waqt-e-tajsim meri KHak nahin chhani kya

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

To Mujhe Ek Jhalak Bhi Nahin Dikhlani Kya In English By Famous Poet Faraz Mahmood Fariz. To Mujhe Ek Jhalak Bhi Nahin Dikhlani Kya is written by Faraz Mahmood Fariz. Read famous Poem To Mujhe Ek Jhalak Bhi Nahin Dikhlani Kya for youth and Student by Faraz Mahmood Fariz. Free Download To Mujhe Ek Jhalak Bhi Nahin Dikhlani Kya in PDF.