Sada-e-kun Se Bhi Pahle Kisi Jahan Mein The

sada-e-kun se bhi pahle kisi jahan mein the

wajud mein na sahi hum KHuda ke dhyan mein the

we kitne KHush the jo kuchh bhi na jaante the magar

jo jaante the we har dam ek imtihan mein the

kisi ko haq ki talab thi koi majaz pe tha

aur ek hum the ki donon ke darmiyan mein the

haqiqaton mein utarne se thoDa pahle bhi

janab aap mere KHana-e-guman mein the

mujhe to rasta badalne mein KHauf aata tha

magar wo hausle jo mere raftagan mein the

wafa karenge agar hum wafa milegi hamein

'faraaz' pahle-pahal hum bhi is guman mein the

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada-e-kun Se Bhi Pahle Kisi Jahan Mein The In English By Famous Poet Faraz Mahmood Fariz. Sada-e-kun Se Bhi Pahle Kisi Jahan Mein The is written by Faraz Mahmood Fariz. Read famous Poem Sada-e-kun Se Bhi Pahle Kisi Jahan Mein The for youth and Student by Faraz Mahmood Fariz. Free Download Sada-e-kun Se Bhi Pahle Kisi Jahan Mein The in PDF.