Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_39b662515e46cdedf22c11eafa87bc35, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha - Farah Shahid Poetry In English - Darsaal

Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha

pichhle baras tum sath the mere aur december tha

mahke hue din-raat the mere aur december tha

chandni-raat thi sard hawa se khiDki bajti thi

un hathon mein hath the mere aur december tha

barish ki bundon se dil pe dastak hoti thi

sab mausam barsat the mere aur december tha

bhigi zulfen bhiga aanchal nind thi aankhon mein

kuchh aise haalat the mere aur december tha

dhire dhire bhaDak rahi thi aatish-dan ki aag

bahke hue jazbaat the mere aur december tha

pyar bhari nazron se 'farah' jab us ne dekha tha

bas wo hi lamhat the mere aur december tha

(6289) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha In English By Famous Poet Farah Shahid. Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha is written by Farah Shahid. Read famous Poem Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha for youth and Student by Farah Shahid. Free Download Pichhle Baras Tum Sath The Mere Aur December Tha in PDF.