Chale Hain Sath Hum Anjaan Ho Kar

chale hain sath hum anjaan ho kar

rahe apne hi ghar mehman ho kar

mili thi raste mein zindagi bhi

mujhe takti rahi hairan ho kar

mujhe samjha nahin shayad kisi ne

bahut mushkil mein hun aasan ho kar

jahan hai wo wahan par hum nahin hain

paDe hain ghar mein hum saman ho kar

koi dhaDka nahin luTne ka mujh ko

main KHush hun be-sar-o-saman ho kar

mohabbat jang thi mahngi paDi hai

hui taqsim main tawan ho kar

bahut manus thi main jugnuon se

unhen takti hun ab hairan ho kar

meri pahchan mujh se chhin gai hai

juda hai wo meri pahchan ho kar

main sanson ke bharose pe khaDi thi

mujhe jina tha us ki jaan ho kar

'farah' main apni puri dastan thi

magar ab rah gai unwan ho kar

(3420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chale Hain Sath Hum Anjaan Ho Kar In English By Famous Poet Farah Shahid. Chale Hain Sath Hum Anjaan Ho Kar is written by Farah Shahid. Read famous Poem Chale Hain Sath Hum Anjaan Ho Kar for youth and Student by Farah Shahid. Free Download Chale Hain Sath Hum Anjaan Ho Kar in PDF.