Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f5a592778e99a4695355cf186c7ff1eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai - Farah Iqbal Poetry In English - Darsaal

Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai

zindagi chupke se ek baat kaha karti hai

waqt ke hathon mein kab Dor raha karti hai

sard si shamon mein chalti hai udasi ki hawa

chandni raat bhi KHamosh raha karti hai

tum to aae ho gulabon ke liye der ke baad

qarya-e-jaan mein to ab KHak uDa karti hai

be-sabab aankhon mein aansu bhi nahin aate ab

wahshat-e-dil bhi kahin dur raha karti hai

raushni mein to nazar aate hain kitne sae

par ye tariki to saya bhi juda karti hai

hum bhi kho jaenge ek roz ufuq par yunhi

kab kisi se ye 'farah' zist wafa karti hai

(1347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai In English By Famous Poet Farah Iqbal. Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Zindagi Chupke Se Ek Baat Kaha Karti Hai in PDF.