Zamana Jhuk Gaya Hota Agar Lahja Badal Lete
zamana jhuk gaya hota agar lahja badal lete
magar manzil nahin milti agar rasta badal lete
bahut taza hawa aati bahut se phul khil jate
makan-e-dil ka tum apne agar naqsha badal lete
KHata tum se hui aaKHir tumhaara kya bigaD jata
ye bazi bhi tumhaari thi agar mohara badal lete
abhi to aaine se hai musalsal dosti apni
shanasai kahan rahti agar chehra badal lete
mere harfon ke ye moti mere hathon bikhar jate
ghubar be-yaqini mein agar rasta badal lete
falak ke is kinare ka wo lamha hum ko mil jata
mila tha ek hi lamha agar lamha badal lete
bahut be-rang chehron par bahut se rang aa jate
kisi achchhe fasane se agar qissa badal lete
isi KHwahish ke daman mein wahi sikke khanak uThte
sada tabdil kar lete agar kasa badal lete
(1609) Peoples Rate This