Sare Manzar Dilkash The Har Baat Suhani Lagti Thi
sare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi
jiwan ki har sham hamein tab ek kahani lagti thi
jis ka chand sa chehra tha aur zulf sunahri baadal si
mast hawa ka aanchal thame ek diwani lagti thi
apne KHwab nae lagte the aur phir un ke aage sab
duniya aur zamane ki har baat purani lagti thi
pyar ke mausam ki KHushbu se ghuncha ghuncha mahka tha
mahki mahki duniya sari raat ki rani lagti thi
lamhon ke rangin ghubare hath se chhuTe jate the
mausam dukh ka dard ki rut sab aani-jaani lagti thi
qaus-e-quzah ki barish mein ye jazbon ki munh zor hawa
mauj uDate bal khate dariya ki rawani lagti thi
ab dekhen to dur kahin par yaadon ki phulwari mein
rangon se bharpur faza thi jo lafani lagti thi
(1359) Peoples Rate This