Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_70b39f2b31477d900740616e2d6fa355, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain - Farah Iqbal Poetry In English - Darsaal

Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain

muddaton hum se mulaqat nahin karte hain

ab to sae bhi koi baat nahin karte hain

dasht-e-hairan ka pata aaj bhi malum nahin

ab to rahon mein bhi hum raat nahin karte hain

mabadon mein jo jalate the diye mere liye

ab sar-e-sham munajat nahin karte hain

banT dete hain sabhi KHwab suhane apne

daman-e-dard se KHairaat nahin karte hain

rok lete the jo jangal mein wo aaseb bhi ab

chup hi rahte hain sawalat nahin karte hain

wo jo barse the inayat ke baadal hum par

wo bhi ab pahli si barsat nahin karte hain

kitne barham the 'farah' TuT ke jab bikhre the

aaj-kal hum bhi shikayat nahin karte hain

(1517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain In English By Famous Poet Farah Iqbal. Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Muddaton Humse Mulaqat Nahin Karte Hain in PDF.