Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha
mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha
koi mausam nahin rukta so mausam ko badalna tha
taqaza maslahat ka tha hawa se dosti kar len
charaghon ko ujale tak yunhi har taur jalna tha
use to ye ijazat thi wo jab chahe palaT jae
safar mera to baqi tha mujhe to yunhi chalna tha
talatum mein baha kar jo meri hasti ko le jati
usi mauj-e-tamanna se mujhe pahle sambhalna tha
hamein bhi sabz rangat ka wo pairahan ata hota
hamari aastinon mein agar sanpon ko palna tha
hamesha apne kase mein duaon ki talab rakkhi
duaon ke wasile se bura har waqt Talna tha
bataya tha ki ye jauhar bahut nayab hai jaanan
use kho kar tumhein yunhi faqat hathon ko malna tha
shab-e-gham ki tawalat se na ghabrana 'farah' aaKHir
ye suraj Dhal bhi jae to ise phir se nikalna tha
(981) Peoples Rate This