Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_acf5ad11b2896ef6e0e54862ce44e632, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha - Farah Iqbal Poetry In English - Darsaal

Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha

koi jab mil ke muskuraya tha

aks-e-gul ka jabin pe saya tha

zaKHm-e-dil ki jalan bhi kam thi bahut

git aisa saba ne gaya tha

shab khuli thi bahaar ki surat

din sitaron sa jagmagaya tha

aise sargoshiyan thin kanon mein

koi amrit ka jam laya tha

KHwab konpal bhi thi tar-o-taza

aarzu ne bhi sar uThaya tha

jis ne mashur kar diya tha 'farah'

ek jadu sa ek chhaya tha

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha In English By Famous Poet Farah Iqbal. Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Koi Jab Mil Ke Muskuraya Tha in PDF.