Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain
kaise manzar hain jo idrak mein aa jate hain
jaise moti kisi poshak mein aa jate hain
main jhaTakti hun sabhi zehn se ye wahm-o-guman
phir bhi aksar ye meri tak mein aa jate hain
jaisa bheja hai mujhe aap ne paigham-e-wafa
aise name to kai Dak mein aa jate hain
apni hasti pe guman itna na kije sahab
paikar-e-KHak to phir KHak mein aa jate hain
jin ko aankhon mein basane ki ijazat bhi nahin
wo tasawwur dil-e-bebak mein aa jate hain
nahin hote hain jo chehre se ayan ranj-o-alam
wo sabhi sina-e-sad-chaak mein aa jate hain
(884) Peoples Rate This