Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah
kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah
sambhaal kar hamein rakhiye mata-e-jaan ki tarah
jise sadaf ki tarah aankh mein chhupaya tha
wo kho na jae kahin ashk-e-raegan ki tarah
hamein bhi KHauf-e-talatum ne gher rakha tha
khula nahin tha abhi wo bhi baadban ki tarah
nisab-e-ishq mein sare sawal mushkil the
mohabbaten bhi thin darpesh imtihan ki tarah
khule jo lab to unhi aainon mein hairat thi
jo dekhte the hamein aks-e-be-zaban ki tarah
jahan mili thin kabhi KHushbuen hawaon se
mahak raha tha wo jangal bhi gulistan ki tarah
hunar-wari hai hamari ki apne KHwabon se
qafas bhi hum ne sajaya tha aashiyan ki tarah
(835) Peoples Rate This