Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_712beb632c1c63406afa0abf78703ed9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati - Farah Iqbal Poetry In English - Darsaal

Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati

kahen hum kya kisi se dil ki virani nahin jati

hamari zindagi bhi hum se pahchani nahin jati

ba-zahir aisa lagta hai sabhi hain mast duniya mein

magar chehron se poshida pareshani nahin jati

rawa-dari ki chadar se kahan tak KHud ko Dhapenge

ki is kam-zarf duniya mein to ye tani nahin jati

bahut samjha liya dil ko bichhaDna to muqaddar tha

na jaane kyun mere dil se pashemani nahin jati

bahut hi laDla Thahra ye mana dil hamara hai

magar ab is ki har ek baat to mani nahin jati

(1187) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati In English By Famous Poet Farah Iqbal. Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Kahen Hum Kya Kisi Se Dil Ki Virani Nahin Jati in PDF.