Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai
ek muddat se yahan Thahra hua pani hai
dasht-e-tanhai hai aur aankh mein virani hai
dekho KHamosh si jhilon ke kinare ab bhi
sog mein lipTe daraKHton ki farawani hai
aaina dekhne ki tab kahan thi mujh mein
saf likkhi thi jo chehre pe pashemani hai
dasht-e-wahshat mein charaghon ko jalaun kaise
in charaghon se hawaon ko pareshani hai
saya-e-abr-e-tawajjoh ki KHabar kya hoti
zindagi main ne to sahraon se pahchani hai
apne mazi ko mujhe dafn bhi KHud karna hai
ye qayamat bhi dil-o-jaan pe abhi Dhani hai
ab ke chamka hai sitara jo 'farah' baKHt ka hai
tere atraf usi ki hai jo tabani hai
(1041) Peoples Rate This