Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha
dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha
kuchh aansuon ki dhund thi ujDa dayar tha
yaadon ke aaine mein hain ab bhi basi hui
aankhen ki jin mein munjamid ek intizar tha
rishton ki Dor hath se chhuTi thi is liye
daman jo bad-gumaniyon se tar tar tha
kaisi thi mai jo aankh se tu ne pilai thi
meri ragon mein aaj tak us ka KHumar tha
TuTa koi sitara tha ya KHwab-e-arzu
tair qafas mein raat bahut be-qarar tha
dhundla diye the jis ne sabhi aaine yahan
mere hi ghar se uTTha wo gard-o-ghubar tha
(899) Peoples Rate This