Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc179267e99c7a0e0e1ea06dc566708c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Dadi - Faragh Rohvi Poetry In English - Darsaal

Meri Dadi

pyari pyari meri dadi

mujh ko kahti hai shahzadi

mere sau naKHre sahti hai

meri fikr use rahti hai

jo bhi mango so deti hai

ek nahi wo do deti hai

mujhe mana kar KHush hoti hai

warna ghusse mein roti hai

mujhe koi jo mare chaT se

DanT use deti hai jhaT se

mujh se dur nahi rah sakti

wo ye baat nahi sah sakti

karam KHuda ka hai ye be-shak

us ki aaankhon ki hun ThanDak

ambar par tare hain jitne

yaad use hain qisse utne

dil ki baat kahungi mil ke

nazm 'faragh'-uncle kar denge

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Dadi In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Meri Dadi is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Meri Dadi for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Meri Dadi in PDF.