Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_65501694077d868cb09af724e0038a78, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main - Faragh Rohvi Poetry In English - Darsaal

Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main

yaro hudud-e-gham se guzarne laga hun main

mujh ko sameT lo ki bikharne laga hun main

chhu kar bulandiyon se utarne laga hun main

shayad nigah-e-waqt se Darne laga hun main

par taulne lagi hain jo unchi uDan ko

un KHwahishon ke pankh katarne laga hun main

aata nahin yaqin ki un ke KHayal mein

phir aaftab ban ke ubharne laga hun main

kya baat hai ki apni tabiat ke bar-KHilaf

de kar zaban 'faragh' mukarne laga hun main

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Yaro Hudud-e-gham Se Guzarne Laga Hun Main in PDF.