Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha
nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha
ye jurm main ne bas ek bar karna chaha tha
jo but banaunga tera to hath honge qalam
ye jaante hue jurmana bharna chaha tha
baghair us ke bhi ab dekhiye main zinda hun
wo jis ke sath kabhi main ne marna chaha tha
shab-e-firaq ajal ki thi aarzu mujh ko
ye roz roz to main ne na marna chaha tha
kashid itr kiya ja raha hai ab mujh se
ki mushk ban ke faza mein bikharna chaha tha
us ek baat pe naraaz hain sabhi suraj
ki main ne un sa ufuq par ubharna chaha tha
laga raha hai jo sharten meri uDanon par
mere paron ko usi ne katarna chaha tha
usi taraf hai zamana bhi aaj mahw-e-safar
'faragh' main ne jidhar se guzarna chaha tha
(919) Peoples Rate This