Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain
labon ke samne KHali gilass rakhte hain
samundaron se kaho hum bhi pyas rakhte hain
har ek gam pe raushan hua KHuda ka guman
isi guman pe yaqin ki asas rakhte hain
hum apne aap se pate hain koson dur use
wahi KHuda ki jise aas-pas rakhte hain
chaDha ke dar-e-qanaat pe har tamanna ko
jo ek dil hai use bhi udas rakhte hain
ziyan-pasand hamara mizaj hai warna
nigah hum bhi zamana-shanas rakhte hain
hamare tan pe koi qimti qaba na sahi
ghazal ko apni magar KHush-libas rakhte hain
chalo ki rah-e-tamanna mein chal ke hum bhi 'faragh'
zamin-e-dil pe ghamon ki asas rakhte hain
(1070) Peoples Rate This